Anandmurti Gurumaa

Kaun Hoon Main
Ek dhaga hai dil se hothon tak, jahan jeevan ka rehasya buna hai shabda todte hai dhage ko par maun mein, rehasya bolte hain Swapna mein mera priyatam aaya mere tan mein khojta raha, prem ki awastha ko jab use na mili to usne nikala apna khanjar aur vaar kiya mere dil par Aae mere prem, mein tumhare sang ek hona chahta hoon mein ek pagal hoon baandh lo, apne baalon ki latohn se mujhko agar apne aapko mein poora samarpit na karoon to karna shikayat Tum sankuchit ho gaye ho pavitra pustak haathon mein le apne aao, aur padho kitaaab jo dil mein rakhta hoon apne Chalna seekho unke saath, jo raah jante hain Tum sangitagya ho hridai ke bharo mujhe apne divya sangeet ke saath Tum ho shukra ki tarah chamakdaar chand se adhik roshan ushmit karo, mujhe apni drashti se taanki meri aankhein chamak sakein, tumhare prem mein Songtextekya dekhte nahin tum tumhari aatma hai 'musa' jaisi sadharan gadariye mat raho chodo jhund ko peeche aur chalo nange paanv 'Sinayee' parvat ki pavitra dharti par tumhari chadi nahi ho sakegi sahara is path par tum sirf satyake sahare hi ho sakoge Aae premiyon, prem tumhare kadmo ke neeche khazana bicha dega Sangeetkaron, prem tumhare dhol taashon mein sona bhar dega Aae pyaason, prem tumhare sukhe registan ko badal dega jannat se bagh mein Triskriton, prem tumhare liye khol dega, dwaar maharaja ke Rasayanvidon prem rasayan tumhare kaidkhane ko divya manch mein badal dega Paapiyon prem tumhari ashradha ko vishvas mein badal dega Duniya ke rajaon prem ke hathon mein tum, mom ki tarah pighal jaoge Un pyaaso ke liye jo samarpan ko taiyaar hain prem veh shraab dega, jo unke andheron ko badal dega, divya drishti mein krurta karuna mein aur raakh keemti bhasm mein Ek din tumhara dil tumhe le jaiga priyatam tak Ek din tumhari rooh le jaigi tumhe priyatam tak Apne dard mein tum kho na jana jaano ki ek din yahi dard dawaa ban jaiga. Baagh mein apne premi sang ghoomte hue maine ek phool dekha, aur dhyan hatt gaya mere priyatam ne mujhe chidakte hue yeh kaha, kaise dekh sakte ho tum gulab ko jab mera chehra tere itne kareeb hai. Hai nahi sharab kuch tere bina, laabh kya mala ka jo tera haath na ho door se tumne mujhe nachne ko kaha par jab tum manch na taiyaar karo aur uthao na parda mere priyatam, kaise nachoon mein pehle pehal jab, prem ne dil par kabza kiya mere rudan ne rakha, mere padosiyon ko jagaa kar, poori raat ab jab mera prem gehra ho gaya hai mera rudan thehar gaya hai jab aag lagti hai to dhuaan ghul jata hai (Thanks to namrata for these lyrics) Aus Songtexte Mania