Anandmurti Gurumaa

Iltaja
Tum mai jo prem naa mehsus kar sake Sote raho Tum mai jo prem ke peeda Naa mehsus kar sake Herdiya mai kabhi prem jawar naa uthhe Sote raho Jo samagam ko tadapte naa ho Jo lagataar puchate naa rahtey ho Kahan hai wo! Sote raho Prem path sabhi dharm sampardayo se baahar hai Agar dhokha aur pakhand hai tumhara dhang Sote raho Gar tum pighalte nahi taambe ke tarah, takee Rasaynik sona bana sake Sote raho Gar tum sharabi ke tarah girate ho Bayain, dayain Agyan ke raat beet gayee Prarthna ka samay ho chuka Sote raho Kismat ne maire neend lay lee hai par chunkee Abhi tumhare nahi lee hai, jawan aadmee Sote raho Ham to gir gaye hain prem ke hathon main, SongtexteTum abhi tak tumhare haath hi ho Sote raho Main wehe hoon jo mast hai prem mai Tum abhi bhog bhojan mai mast ho Sote raho Maine to apnaa sir de diya hai Aur kehane ko kuch nahi Par tum to gher sakte ho sawyam ko Shabdo ke libas mai Sote raho Jab main tumhara chehra dekhta hoon Bandh ker leta hu apnee aakhen Main tumhare wajud se bharaa hoon Main hu sharabi tere hone se Mil sake mujhe soloman kee mohar Main pighal gaya hu moam ke tarah Jab tumhara chehra dekhta hu Main apni drhadhata samarpit karta hoon Aur ban jata hoon aah tere hothho kee Tum mere hatho mai the Aur main dhhoondta rahaa tumhain Andhe aadmi kee tarah Main tha tere hathoon main, par sawaal poochhta rahaa Un se, jo agyaani thay Main jaroor rahaa hoon anjaan ya sharabi Apnaa hi swaran churata tha Main jaroor raha hoon pagal kee ghhus kar apne hi chameli ke baagh se churataa rahaa main tumhaari marjee par bahut marodha gaya hoon shams tabreez ke par main sukhi hoon apne dhukhkhon main utsav ki shuruaat main badhte huai chaand ki tarah Jab prem achanak se aaye aur Khatkhatai tumhari khidki Daudo aur pehaele use bheetar lo Aur tark ka darwaja band karo Jaraa sa ishara bhi prem ko door bhej dega Us dhuain ki tarah jo dubaa deta hai taazgi Subah ki hawa ki Tark ko prem sirf Itnaa hi keh sakta hai Rahaa main rukawat hai tum nikal naa sakoge Par premi ko hazaroon ashirwad Bheint kartaa hai Iske pehle kee man uthhe pehlaa kadam le Prem saatwein swarg tak pahunch jata hai Iske pehle kee man soche� kaise? Prem pavitra parvat chadh chukka hota hai Ab mujhhe bolnaa band karnaa chahiye aur Prem ko maun ke ghronde se Bolane dena chahiye (Thanks to prashant for these lyrics) Aus Songtexte Mania